Youn he dosh per smbhalay ghani zulf k doshalay,
wohe sanwali si rangat wohe nain neend walay,
wohe mann pasand qamat wohe khushnuma sarapa,
wo badan me neem khwabi to lahu me ratjaga sa,
kbi pyas ka samandar kbi aas ka jazeera,
wohe meherban lehja wohe maizban wateera,
tuje shairi se raghbat usay shair yad mere,
wohe us k b qareenay jo hein khas wasf tere,
kisi or he safar me sar-e-rah mil gai thi.
tuje or kya bataon wo teri tara koi thi.
kisi shehr-e-be amaan me, me watan badar akela,
kbi moat ka safar tha kbi zindagi se khela,
mera jisam jal raha tha wo ghata ka saiban thi,
me rafaqaton ka mara wo meri mizajdaan thi,
muje dil se us ne pooja usay jan se me ne chaha,
isi humrahi me akhir kahein a gaya doraha,
yahan gumrahi k imkan usay rang-o-boo ka lapka,
yahan laghzishon k saman usay khwahishon ne thapka,
yahan daam thay hazaron yahan her taraf qafas thay,
kahein zar zameen ka daldal kahein jal thay hawas k,
wo fiza ki fakhta thi wo hawa ki rajputri,
kisi ghaat ko na dekha kisi jheel per na utri,
phir ik aisi sham ai k wo sham akhri thi,
koi zalzala sa aya koi barq si giri thi,
ajab andhiyan chalein phir k bikhar gaey dil-o-jan,
na kahein gul-e-wafa tha na chiragh-e-ehd-o-pemaan,
wo jahaz utar chuka tha ye jahaz utar raha hae,
teri ankh me hein ansu mera dil bikhar raha hae,
tu jahan mili hae mujko wo yahein juda hoi thi,
TUJE OR KYA BTAON WO TERI TARA KOI THI.....!!
(Ahmed Faraz)

Fri Dec 09, 2011 3:03 pm by Admin
» Sitting Request
Fri Dec 09, 2011 3:02 pm by Admin
» OFFENSE, The Best Defense
Fri Dec 09, 2011 2:57 pm by Admin
» Membership Applicants
Fri Dec 09, 2011 2:44 pm by Admin
» Defense Shield
Fri Dec 09, 2011 2:40 pm by Admin
» Meeting Room.
Fri Dec 09, 2011 2:37 pm by Admin
» Player Ideas
Fri Dec 09, 2011 2:35 pm by Admin
» Mushkil Hae
Wed Jun 22, 2011 4:55 pm by Admin
» Victorious Pakistan dedicate match fees to flood victims
Mon Aug 23, 2010 11:36 am by Admin